25/11/2026
Design Trend 2026: NOTES APP CHIC 📝✨
Ab har design perfect aur saaf suthra hona zaroori nahi!
Aj kal log aise designs zyada pasand kar rahe hain jo hath ke banay hue lagain — jese notebook mein likhi notes, tape se chipki hui tasaveer, pencil se banay doodles aur scrapbook wala style.
Kyun? Kyun ke bohat zyada perfect designs logon ko nakli (AI jese) lagne lagay hain. Thora sa "imperfect" design asal aur dil ke qareeb lagta hai.
Canva ki 2026 report ke mutabiq is style ki searches mein 90% izafa hua hai!
Aap ko ye style pasand hai ya perfect saaf design? Comments mein batayein 👇
Apne brand ke liye trendy design chahiye? DM karein 💙
Source: Canva Design Trends 2026 — https://www.canva.com/newsroom/news/design-trends-2026/
Report coverage: https://www.businesswire.com/news/home/20251210696597/en/Canva-Unveils-2026-Design-Trends-The-Year-of-Imperfect-by-Design
Canva