28/10/2026
Kabhi kabhi zindagi mein aisa waqt aata hai,
jab insaan ko kisi ke saath se zyada,
sirf thore se sukoon ki zaroorat hoti hai. 🤍
Lekin ajeeb baat hai na?
Jab hum khush hotay hain,
toh sab hamari khushi mein shareek hotay hain.
Magar jab hum mushkil waqt se guzar rahay hotay hain,
toh aksar humein apni jang khud hi larni parti hai.
Log humri khamoshi ko dekh kar samajhtay hain
ke hum bohat khush hain,
sukoon mein hain,
hamari zindagi mein sab kuch theek chal raha hai.
Lekin unhein kya pata
ke muskurahat ke peechay kitni pareshaniyan hain,
khamoshi ke peechay kitni baatein hain,
aur dil mein kitna kuch chal raha hai.
Har baat kisi ko batayi nahi ja sakti,
har dard lafzon mein bayan nahi hota,
aur har baar insaan ke paas
khud ko samjhanay ke liye bhi alfaaz nahi hotay.
Kabhi kabhi bas dil karta hai
ke koi bina poochay samajh jaye,
bina bataye haal jaan le,
aur bina kisi wajah ke keh de,
"Main hoon na, sab theek ho jayega."
Lekin shayad har kisi ko
apni kuch jangain akele hi larni parti hain.
Aur in sab ke darmiyan
ek Zaat aisi hai
jo hamari khamoshi bhi sunti hai,
hamaray aansu bhi jaanti hai,
aur hamaray dil ka haal bhi jaanti hai.
Woh ALLAH hai. 🥹🤍
Ya ALLAH,
jo baatein hum kisi se keh nahi paatay,
jo dard hum kisi ko dikha nahi paatay,
aur jo pareshaniyan hum muskurahat mein chhupa letay hain,
tu un sab se waqif hai.
Bas hamaray dil ko sukoon ata farma,
hamari mushkilaat asaan farma,
aur humein itni himmat de
ke hum har mushkil waqt mein
kisi ka sath mangny ki bejaye
teri rehmat par yaqeen rakh sakein.
Ameen. Ya Rabb-ul-Alameen. 🤲🏻